Badaa kathin hai raasta jo aa sako to saath do


Badaa kathin hai raasta jo aa sako to saath do,
yeh zindagi ka faasla mitta sako to saath do,
bade fareb khaaoge bade sitam uthaaoge,
yeh umar bhar ka saath hai nibha sako to saath do,
jo tum kaho yeh dil to kya mein jaan bhi karu fida,
jo main kaho tu ik nazar lutta sako to saath do,
hazaar imtehaan or hazaar azmaishein,
hazaar dukh,
hazaar ghum utha sako to saath do,
yeh zindagi yahan khushi ghamon ke saath saath hai,
rulla sako to saath do,
hansa sako to saath do....

0 comments:

Post a Comment